Hijer mein khoon rulate ho kahan hote ho..?
Lout ker kyoun nahin aate ho kahan hote ho..?
Jab bhi milta hay koi shakhs baharon jaisa..?
Mujh ko tum kese bhulate ho kahan hote ho..?
Yaad ati hain aikele mein TUMHARI neendain
Kis tarah khud ko sulate ho kahan hote ho..?
Mujh se bichre ho tu mehboob e nazer ho kis k
Aaj kall kis ko manate ho kahan hote ho…..?
Shab ki tanhaii mein akser ye khayal ata he
Apne dukh kis ko sunate ho kahan hote ho…..?
Mousam e gul mein nasha hijer ka berh sa jata he
Mere sab hosh churate ho kahan hote ho……….?
Sard raaton mein tumhen kese bhula sakta hoon
Aag si dil mein lagate ho kahan hote ho………?
*IK AAJAZ SHAAM*
Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar,
Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar,
Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar,
Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar,
Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirhkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar,
Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar,
Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar,
Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar..
*IK AAJAZ SHAAM*
Good Morning Dear
Aankh ki nadiya, ashk ki nayya,yad tmhari,
Chand ki rat,
Jharna,jugnu, tim tim taary, kitni pyari
Chand ki rat,
Sookhy patty,
sard hawaen,
sooni sarken, men or tum,
Shah or malka hath hen thaamy,
Or darbari
Chand ki rat,
Mera bachpan,
Dour patangen, pakki neenden, kachy ghar,
Chupan chupai,
cheena jhapti, Raj dulari
Chand ki rat,
Tash k patte, yar hamare,
maili chadar,
Gehri chaal,
Saans ka huqqa, behki baten,
Ham pe taari
Chand ki rat..
*IK AAJAZ SHAAM*
Socha Tha Ki Hum Tumhe Toot Karchahenge
Tumko Chaha Bhi Bahut Aur Hum Toote Bhi Bohut
P
Socha Tha Ki Hum Khushbu Bankar Rahenge
Hum Mehke Bhi Bahut Aur Bikhre Bhi Bahut
P
Socha Tha Ki Hamesha Tumhare Dil Me Rahenge
Dil Toota Aur Mere Armaan Nikle Bhi Bahut
P
Socha Tha Ki Tumse Pyar Karna Sikh lenge
Aur Humne Tumhara Naam Kagaz Pe Likha Bhi Bahut..
Socha Tha Ki Hum Tumhe Toot Kar chahen ge
Tumko Chaha B Bahut Aur Hum Tootey B Bohut
Socha Tha Ki Hum Khushbu Ban kar Rahenge
Hum Mehke B Bahut Aur Bikhre B Bahut
Socha Tha Ki Hamesha Tumhare Dil Men Rahen ge
Dil Toota Aur Mere Armaan Nikle B Bahut
Socha Tha K Tum se Pyar Karna Seekh len ge
Aur Hm ne Tumhara Naam Kaghaz Pe Likha B Bahut..
*IK AAJAZ SHAAM*
Kuch Aise Log Jo Khaas Bohat
Jo Ahem Bhi Hon Aur Pyare Bhi
Tareef Main Jin K Lafz Na Hon
Tou Aam Se Lafz Hum Likhai?n Kyun
Kuch Safhay
Kuch Line?n
Kuch Warq
Kyun Na Khaali Rehne De?n
Aur
Aise Pyare Logo?n Ko
Sirf
Dil Main Apne Rehne De?n ?
Suno Tum Maan Jao Na
Hamay Ab Yun Satao Na
Tumharay Bin Hamay Jeena
Gawara Ab Nahi Hota
Tumhay Kese Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota
Hamay Apna Bana Lo Tum
Tumhara Ban K Rehna He
Mujhe Dukh Hijar Ka Janum
Nahi Ab Or Sehna He
Kyi Sapnay Sajaey Hen
Ab In Me Rang Bhar Do Na
Tumhen Meri Qasam Jani
Tum Meray Sang Chal Do Na
Muje Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na ♥
*IK AAJAZ SHAAM*
Assalamalekum ruby suman ji,
Hum Agar Aapse Mil Nahi Paate
Aisa Nahi Hai Ki Aap Hamein Yaad Nahi Aate
Maana Jahan Ke Sab Rishte Nibhaye Nahi Jaate
Lekin Jo Dil Me Bas Jaate Hain Unhe Bhulaya Nahi Jaata…
Apni aankhon mein mere khawab rehne do,
Kuch an kahe sawalon k jawaab rahne do,
Na milo iss tarah k dharkanen ho jayain be’qabu,
Abhi kuch dair zara chehre pe hijaab rehne do,
Cheen lo bhale mujhse mere jugno mere khilone,
Magar abhi zara mere hathon me kitaaab rehne do,
Na karo abyaari in gullo’n ki nafraaton k paani se,
Abhi inke dilo’n mein mohabton ka nisaab rehne do,
Phir kabhi mile to soche’n ge kya khoya kya paya dost,
Abhi nayi manzil he dono ki, purane hisaab rehne do..
*IK AAJAZ SHAAM*
Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kesi,
Taaluq toot jaye jab,
Mohabbat rooth jaye jab,
To phir rasm-e-dua kesi,
…Milan ki ilteja kesi,
Bhanwar men dolti kashtii pe saahil ki tamanna kya,
Ukhartay saans hoon to
zindagi ki arzoo b kya,
Ju manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju b kyun,
Magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha he,
Tumhein kyun shairi men aaj takk aabaad rakha he,
Abhi tak man ne kyun khud ko boht barbaad rakha he,
Hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha he,
Judaii dene wale aashnaii ki qasam tum ko,
Tumhari bewafai,
kaj-adaai ki qasam tum ko,
Mujhe itna bata dena,
Wafa ki chahton ki mashalein kese bhujate hen,
Nishaan kese mitaate hen,
Bhulana ho jinhen unn ko bhala kese bhulatay hen.
*IK AAJAZ SHAAM*
U r "Nice" so
"Nice MorninG"
![](img/emoticons/27.gif)
![](img/emoticons/26.gif)
U r Sweet so
"Sweet MorninG"
![](img/emoticons/27.gif)
![](img/emoticons/26.gif)
U r Loving so
"Lovely MorninG"
![](img/emoticons/27.gif)
![](img/emoticons/26.gif)
U r "Cute" so
"Cute MorninG"
![](img/emoticons/27.gif)
![](img/emoticons/26.gif)
U r Good so
"Good MorninG"
![](img/emoticons/27.gif)
![](img/emoticons/26.gif)
Main ne dekha tha un dino men ussy
jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lehja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bheegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us k
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zuban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon men ussy
Main ne dekha tha un dino men ussy
sari ankhien thein aaina us ki
saray chahroon men intekhab tha wo
ye khawab he k wo haqeqat tha
ye haqeqat he k koi khawab tha wo
sab se ghul mil kr ajnabi rehna
ik darya numa sarab tha wo
apni neendien usi ki nazr hoein
men ne paya tha ratjagoon men ussy
Main ne dekha tha un dino men ussy
jab wo hans hans k baat karta tha
dil ke khyemy men raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon men ussy
Main ne dekha tha un dino men ussy
jb wo khiltey gulab jesa tha
*IK AAJAZ SHAAM*
Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi
Aansuon K Zaike Se Aashna Na Hoon,
Khuda Kare K Dhoop Lamhon Ki Azyaton Mein,
Meri Dowaon Ka Saya Rahe,
Tum Jo Zeest Ki Raah Mein Kabhi
Akele Nikal Jao To
Khuda Kare Tujhe Raaste Na Bhatkein,
Khuda Kare Tujhko Manzilein Mil Jayein,
Mere Paas Tumhare Liye,
Dowaon K Kuch Phool Hen,
Khuda Kare Ke Ye Phool Kabhi Na Murjhayein,
Mere Paas To Bas Tumhare Liye,
Chahaton Ke Jugnu Hen,
In Jugnuon Ko Sambhal Kar Rakhna,
Mere Paas Mohabbat Ki Titli He,
Khuda Kare Ke Ye Titli Tujhe,
Khushiyon Ke Gulshan Mein Mehkati Rahe,
Tum Zindagi Mein Har Lamha Muskurate Raho,
Is Titli Ko Sambhal Kar Rakhna,
Zindagi Mein Har Lamha Tum Apna Khayal Rakhna...
*IK AAJAZ SHAAM*
Jo meri aankhon se khawab dekho
to ik b shab na so sako gey
k laakh chaho na hans sako gey
hazaar chaho na ro sako gey
k khawab kya hain azaab hain ye
…merey dukhon ki kitaab hain ye
rafaqattein inn main chouttein hain
mohabbatein inn main roothti hain
panapti hain inn main wheshattein si
aziyattein inn main phouttein hain
inhi k dar se khizaan hain jazbey
inhi se shaakhein si tootti hain
ghamon ki bandish hain khawab merey
ubal raha he dukhon ka laava
rehn-e-aatish hain khawab merey
khayal saarey jhulas gaye hain
sulagti khawish hain khawab merey
ukharti saansein hain zindigi ki
lahoo ki sazish hain khawab merey
jo meri aankhon se khawab dekho
to ik b shab na so sako gey
*IK AAJAZ SHAAM*
… …(¸.•´… (¸.•` -`☆-
●▬▬▬▬๑۩۩๑▬▬▬▬▬●
(¯`♥´¯) šwęęt (¯`♥¯)
●▬▬▬▬๑۩۩๑▬▬▬▬▬●
--- ▄▄▄─▄▄▄───────
★█████▓▓░█────
☆ ▀███♥▓░▄▀──
★──▀██▄▀──
☆────▀─
… …(¸.•´… (¸.•` -`☆´-
●▬▬▬▬๑۩۩๑▬▬▬▬▬●
(¯`♥´¯) Morning(¯`♥´¯) ●▬▬▬▬๑۩۩๑▬▬▬▬▬●
─▄▄▄─▄▄▄───────
★█████▓▓░█────
☆▀███♥▓░▄▀──
★──▀██▄▀──
☆────▀─ ♦☺♦☺♦☺♦☺♦☺♦☺♦
"ғяιεη∂zzzz" ♦☺♦☺♦☺♦☺♦☺♦☺♦
Tu hi haqeeqat khawab tu,
Dariya tu hi pyaas tu
Tu hi dil ki bekaraari tu sukoon tu sukoon
jaown main abb jab jis jagah
paown main tuj ko uss jagah
saath ho k na ho
Tu he rubaru rubaru
Hamsafar tu hamkadam tu hamnawa mera
Aa tujhe inn baahon mein bhar ke
Aur bhi kar loon main kareeb
Tu juda ho to lage hain aata jaata har pal ajeeb
iss jahaan mein hai aur na hoga muj sa koi khush naseeb
Tune muj ko dil diya he main hoon tere sab se kareeb
main hi to tere dil mein hoon,
main hi saanson mein basun
tere dil ki dhadkano mein main hi hoon, main hi hoon
tu hamsafar
tu hamkadam
tu hamnawa mera
kab bhala abb yeh waqt guzare kuchh pata chalata hi nahi
Jab se muj ko tu mila he hosh kuchh b apana nahi
Uff yeh teri palakein ghani si,
chhaown in ki he dilnasheen
kissy darr dhoop ka he
kyun k he ye muj pe bichhi
tere bina na saans loon
tere bina na main jion
tere bina na ek pal b reh saku,
Tu hi haqeeqat khawab tu,
dariya tu hi pyaas tu
tu hi dil ki bekaraari
tu sakoon tu sakoon
tu hamsafar
tu hamkadam
tu hamnawa mera
Mohabbat karke dekho to
Mohabbat kya nahi karti
Mohabbat khud bhi hoti hai
Mohabbat khud ho jaati hai
Mohabbat khud banati hai
Mohabbat khud bhi banti hai
Mohabbat khud bhi andhi hai
Mohabbat andha karti hai
Mohabbat jhuk bhi sakti hai
Mohabbat jhuka bhi deti hai Mohabbat khud bhi nafrat hai
Mohabbat Pyaar bhi karti hai
Mohabbat Pyaar hai Dil ka
Mohabbat aisaar bhi karti hai
Mohabbat kaam hai dukh ka
Mohabbat naam hai sukh hai
Mohabbat naam hai is ka
Mohabbat is hi ko kehte hain
Mohabbat kar ke dekho to
Mohabbat kya nahi karti
*IK AAJAZ SHAAM*