thanx y'r same to yo
![](img/emoticons/1.gif)
Aaj na jane kyu rone ka mann kiya..
Maa k aanchal me sir chupa k sone ka mann kiya..
Duniya ki bhaag daud me kho chuke the rishte sab.
Aaj na jane kyu un sare rishto ko ek sire se sanjone ka mann kiya..
Kisi din bheed me dekhi thi kisi ki aankhe..
Aaj phir un aankho me khone ka mann kiya..
Roj sapno se baatey karte the hum..
Aaj na jane kyo unse muh modne ka mann kiya..
Jhoot bolte h apne aap se roz ..
Aaj na jane kyu khud se ek such bolne ka mann kiya..
Dil todte h sab apni baato se ..
Aaj na jane kyu ek tute hue dil ko jodne ka mann kiya..
Aaj na jane kyu rone ka mann kiya....