Aj mra janam din tha
Men intizar krta raha
Din se rat ho gyi
R men chalta raha
Barish mre badan ko bhigoti rahi
R tan andar hi andar jalta raha
Magar men chalta raha
Intizar karta raha
K shayed
Kahin se koi jaani pehchani c awaz
Mujhe pyar se bula kr kahe
Janam din mubarak ho
Magr aj to hr taraf bala ka sanata he
Puri basti ne mre janam k soug men
Apne apne gharon men chiragha’n nahin kya
Hr taraf holnak andhera tha
Is andhere men
Barish ka shor
Pato’n ki khar’kharahat
Hawa ki siskiyan
R bijli ki chamak ne
Mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha
Mera dil ghabra gya
Subah ka bhoola tha is lia
Shaam ko ghar aa gya
Kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez pr hamesha ki tarah
Woh chiraag liye meri muntzir thi
Us ne aa kr mujhe sahara diya
Phir apne naazuk bazu’on men samait kr
Mujhe mere bistar tak le gayi
Mera sar apni gaud mein rakh kar
Mere baalon mein ungliyan pher kr mujhe sulaney lagi
Phir dheere dheere mere kaan mein gunguney lagi
Janam din mubarak ho
Janam din mubarak ho
MERI MEHBOOBA
MERI HAMDAM
MERI TANHAAI
Tere Her Dukh Ko Apna Bana Lu,
Tere Har Ghum Ko Dil Se Laga Lu,
Mujhe Karni Aati Nahi Chori Warna,
Mai tere Aankho Se Har Aansu Chura Lu…
Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni de do
Bina Jurm-o-Khata,Khud ko koi aisi Saza Dena
Boht Mushkil he Meri Janaa!!
Tumhein bilkul Bhula Dena
Mere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi Bakhsi
To bus itni Guzarish he, Mujhe Patthar bana dena
Main Zehni tor per Khud ko zara Tayyar kar loon ga
Bichar jane se kuch pehley mere hamdam bata dena
Meri yeh Shararat aaj tak naqsh ho gi Dharkan per
Dabe paoown chale ana,Tera Jhumka hila dena
Faqat itna kaha tha na?..
Mujhe kuch Roshni de do
Tumhein kis ne yeh Bola tha, Meri Basti jala dena
Jise Barish k paani main baha ker Muskhurate ho
Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena
Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha he
K Tum jane se kuch pehley Meri Aankhen bhuja dena.
Mujhy Aazad Kr Do Na
K Men Ho0n Qaid BarsOn Se
Judaai Ki Azziyat Men,
Zehar Bhar De Gi Yeh Duniya
Meri Naazuk Tabiyyat Men
Na Do Ab Hosla Mujh Ko,
Bata Do Raasta Mujh Ko,
Koi Bahir Nikalnay Ka
Hawa Mein Phir Se Urrnay Ka
Mujhay us des Jana He,
Jahan Panchhi Utartay Hain
Jahan Mousam Badaltay Hain,
Meri Banjar Si Aankhon Mein
Meri Be'taab Saanson Mein
Koi To Rang Bhar Do Na
Mujhay Aazad Kar Do Na,
Mujhay Aazad Kar Do Na..:'(
Tum apne ranj-o-gham,apni pareshaani mujhe de do
Tumhe gham ki kasam hai dil ki veerani mujhe de do
Ye mana main kisi qaabil nahi hoon, in nigahon main
achanak le k dill ghairo'n se hairani mujhe de do
Main dekhoo to sahi duniya tumhe kaise satati hai,
Kabhi dil ke liye apni nigehbaani mujhe dedo
یہ دشتِ ہجر، یہ وحشت، یہ شام کےسائے
خدا یہ وقت تری آنکھ کونہ دِکھلائے
اُسی کےنام سےلفظوں میںچاند اُترےہیں
وہ ایک شخص کہ دیکھوں توآنکھ بھرآئے
جو کھوچکے ہیںاُنہیںڈھونڈناتو ممکن ہے
جو جا چکےہیں اُنہیںکوئی کس طرح لائے!
کلی سےمیں نے گلِتر جسےبنایا تھا
رُتیںبدلتی ہیںکیسے،مجھے ہی سمجھائے
جو بےچراغ گھروں کوچراغ دیتاہے
اُسے کہوکہ مِرےشہر کی طرف آئے
یہ اضطرابِ مسلسل عذاب ہےامجد
مِرا نہیںتو کسی اور ہی کاہو جائے!
AGAR HUM DOST HOTE TO
KARAM KI INTAHA KARTE
TUMHE PALKO PE RAKHTE
HUM
TUMHE DIL ME BASATE HUM
AGAR TUM ROTH JATE TO
TUMHE KITNA MANATE HUM
AGAR MILNE TUM NAHI
AATE TO
AA KAR KHUD TUMHE MILTE
TUMHARI LAGZISHO KO BHI
HANSI ME HUM URA DETE
AGAR APNI HATA HOTI TO
KHUD KO BHI SAZA DETE
MAGAR YE SABH JABHI
HOTA
AGAR HUM DOST HOTE
TO............
MAGAR ITNA HI JANA HAI
K TUMNE AAJ TAK HUM KO
PARAYA KEH KAR JANA HAI
KABHI HUM DUM NA MANA
HAI
AGAR HUM DOST HOTE
TO
Suna hai log usay aankh bhar ke
dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din
thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab
halon se
So apne aap ko barbad kar ke
dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain
chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke
dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o
shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar
ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool
jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke
dekhte hain
Suna hai raat use chand takta
rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar
dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal
si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar
ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan
satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke
dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain
kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke
dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi
qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh
bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab
jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke
dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin
us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke
dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki
gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke
dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se
dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke
dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash
aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke
dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e
muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar
ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila
dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar
ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se
mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar
ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf
karti hain
Chalay to us ko zamanay theher
ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay
dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke
dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab
mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar
ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain
ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte
hain
Log kehte hain ki achche log mar k sitare ban jaate hain, magar hum kehte hain k achche sitare gir k aap jaise dost ban jaate hain. Gud Morning
Tum meri zindagi ka ik haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do…
Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do…
Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh shaam sajanay ki Ijazat Day Do…
Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lutanay ki Ijazat Day Do…
Nahi he shauk bhoolny ka mager
Mujhay yeh duniya bhulany ki ijazat day do
Ishq Mein Mombati Sa Jal Raha Hoon Main.
Teri Mohabat Ki Tapish Hai,
Pal Pal Har Pal Pighal Raha Hoon Main.
Roshni Hoga Ishq Mera Lakhon Dil Jalon K Liye,
Hasratein Dhagon Mein Piroye Chal Raha Hoon Main.
Bas Chal Raha Hoon Main……………..
Chalo Tum Chor Do Muj ko
Main Wapis Lout Jata hoon..
Tmhen Manzil Mubarik Ho
Naya Sathi Mubarik Ho…..
Magr Phir Aey Mere Hamdam
Muje Itna To Batla do..
Kahan Se Sath Laye Thay…..?
Muje Itna To Samjha Do..
Agr Aesa Nehin Mumkin
To Muj ko Iss Tarah Toro..
K
Main Yaksar Bikher Jaown
Bhatakne Se To Behter He..
“TUMHARE PAS MARR JAOWN”
miss u nazami jee
chal mere saath hii chal a meri jaan-e-Gazal
in samaajon k banaaye huye bandhan se nikal,
ham vahaaN jaaye jahaaN pyaar pe pahare na lagen
dil kii daulat pe jahaaN koii luTere na lagen
kab hai badalaa ye zamaanaa, tuu zamaane ko badal,
pyaar sachchaa ho to raahen bhii nikal aati hain
bijaliyaaN arsh se Khud raastaa dikha laatii hain
tu bhi bijalii kii tarah Gham ke aNdheron se nikal,
apane milane pe jahaaN koi bhi uNgali na uThe
apanii chaahat pe jahaaN koii dushman na haNse
chheD de pyaar se tuu saaz-e-mohabbat-e-Ghazal,
piichhe mat dekh na shaamil ho gunahagaron mainn
saamane dekh ki manzil hai teri taaron main
baat bantii hai agar dil main iraade hon aTal,
chal mere saath hii chal ai meri jaan-e-Ghazal
Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judayi mangtay rehna
Zara sa ishq kar lena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudayi maangtay rehna
Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsayi mangtay rehna
Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati he
Kahaani main zara si bay wafayi mangtay rehna
Ajab hai wehshat-e-jaan b k adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navayi mangtay rehna
Kabhi bachay k nanhe haath per titli k per rakhna
Kabhi phir us k rangon say rehayi mangtay rehna
Sahil, rait, samandar, lehrain,
Basti, jungle, sehra, darya,
Khushbu, mousam, phool, dareechay,
Baadal, suuraj, chaand, sitaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!
Khaab ki baatain, yaad k qissay,
Soch k pehlu, neend k lamhay,
Dard k aansu, chain k naghmay,
Urtay waqt k behtay dhaaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!
Rooh ki aahat, jism ki junbish,
Khoon ki gardish, saans ki larzish,
Aankh ka pani,
Chahat k unwaan ye saray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!
yehi wada lia tha na.. .?
hamesha khush hi rehna he
to dekho!
dekh lo aakar,
meri ankhon ko dekho tum,
ye kitni shokh lagti hen
mere honto ko dekho tum
hamesha muskaraty hen
koi b gham agar aya
usy hans kar saha men ne
mere cheray ko dekho tum
kia tha men ne jo tum say
wo wada kar dia pura
magar ek baat he MEHRU
kabhi jo waqt mil jai
to meri shairi parhna
tumhay mehsos to hoga
kehin talkhi bhara lehjha
kehin pe sard sa lehjha
kehin pe dard ki jeheelain
kehin lehjhy ki karwahat
suno!
main khush to hoon lekin
mera har lafz rota he...
Asslaamualaikum warehmatullah
Tum Mujhy
AL-Wida Nahi kehna
Tum Se Naata Hay Yun Wafaon ka
Jaisy khushbu Se Hay Hawaon ka
Jaisay Honton Se Hai Duaon ka
Jaisay Rishta Hai Dhoop Chaon ka
Jaisay jismoon Se Aatmaoon ka
Jaisay Poja Se Devtaon ka
Saray Bandhan Na Tor k jana
Ab Tere Bin Mujy Nahi Rehna
Tum Mujy
AL-Wida Nahi kehna..